Evin Rosetta Stone

Tumhare prashant aalingan ke liye tarasti hui...


Mein tarasti hun ye janane ke liye tum kahan ho aur kaise apne din bitate ho.
Subah kab jagte ho?
Kab kaam pe pahunchte ho?
Kya pehente ho?
Kab nahate ho?
 
Kya tum bechain ho?
Mausam ke bareme tumhara kya kayal hein? Kya bahut garmi ya thandi lagti hai?
Kya tum mehsus karte ho jab hava pradushit aur dhul sa hota hai.
Mujhe janana hai kit um kaam par kaise pahunchte ho.
Mein tadapti hun us roshni ke liye jo hamare ghar ke sidiyon ko roshan karti hai?

Mein bhulchuki hu kya bataya tha tumne hamare ghar ke diwaronke rang bataya tha.
Mein tadapti hun janane kit um kahan sote ho?
Kaise tum apne kapde dhote ho?
Tum kitne logon se mile ho jinhe mein nahi janti?
Mere anjane mein tumne kiske saath vivad kiya hain?
Kya padrahein ho?
Kya sunrahien ho?
Kya tum abhi pratahkal tak utke internet pe dekte ho?

Mein janana chahati hu ki tum kaise ho aur kya karna chahate ho.
Mein janana chahati tum kahan kharidhari karte ho.
Kya tum phal karahe ho?
Ab garmi ka mausam hein.
Kya tumne tarbuz, strawberries, hare plums aur khubani khaye?
Kya wo ache the? 
Kya tumhe unhe khane par maza aya?

Kya tumhe abhi sham ke chai dher hone pe sar dard karta hai.
Kya tumhare cell phone ko abbhi recharging ki zarurat padti hai har waqt?
Kya tum abbhi cell phone ko saath le jana bhul jaate ho?
Kya tum abbhi kuch subah snan ghar ke sink mein apne baal dote ho?
Kya tum kabhi kabhi roti ke saath dahi khate to ho?
Kya tumne abtak nayi theli aur nayi shirt nahi karidhi hai?

Mujhe janana hain tum mere bare mein kya sochte ho.
Kya janana chahte ho?
Kya sochte ho jab mere liye kuch karidhna chahte ho?
Tumhe hamare guzare huve kalke bare mein kya yaad hein?
Kya tum abbhi hamare saalgiraope dyaan dete ho?
Kya tumhe yaad he tumne mujhe pehli baar Ishfaan ko pachis aur chabis june ko dikaya tha?


Kya tumhe yaad he ham sadko peg aye the saath rehne keliye?
Aur jo dopahar ke waqt hamne saath bitaya tha Saati park mein?
Kya tumhe Zav yaad hein?
Aur wapsi raste par tum mujhe Darband lejate the?
Kya tumhe yaad hein ham pichli baar wahan Ahmad ke saath spring  do hazaar aath mein gaye the?
Kya tumhe abbhi mere haat se bani khane ki swaad yaad hein?
Mujhe ab kuch yaad nahin hein……
Kya tumhe yaad hein hamne kaise hamare saare saaman kharide hein?
Kya tumhe naya saal do hazaar aath yaad hein?
Kya tumhe yaad hein hum Caspian samundar ke teer pe gaye the? Aur Ahmed hamare saath tha?
Kya tumhe yaad hein, che June, do hazaar do, ko antim shart diya tha aur jeevan mein aage badne keliye kahan tha?
Kya tumhe yaad hein jab mein pehli baar Evin se chuti thi, do hazaar che, ke June mein.

March no tarik, do hazaar saath, jab mein central council gayi thi?
August aath tarik, do hazaar saath, mein dopahar ko jab mein karagrah se chuti thi?
Babuji ke ghar ke sidiyon pe tumne kaha tha mujhse, “thodi dher aur rukhna…”
tumne kaha, “ek mahine ke andar mujhe lagne laga tha ki mein ab tumhare bina nahin jesakta hu.”
kya tumhe saath march yaad hein? Mujhe pata hein tumhe yaad hein. Ye saade saath saal purani baath hein.

Amin, mujhe sabkuch khalti hai …
Har ek cheez…
Aur is bekarari ke vajah se mere jism ke har ang mein dard ho raha hein…
Mein tak gayi hu in chote sapno se, jo mujhse door ja rahe hein.
Irshya…
irshya…
Tumhe pata nahin hai kaise lagta hai is karagrah mein rehna.
Aur teen logon ko apne ankhon ke samne dafn karte dekhna;
Jis mein do, khaas tor par aakhri do, ache pharishte the…
Tum soch bhi nahi sakte mujhe kaisa lagta hai…
Aur aasha karti hu tumhe kabhi bhi iska anubhav na ho…

Tumhare prashant aalingan ke liye tarasti hui...
 
Bahar, Evin Prison, 9th of June 2011

(translation communicated by Radius)